Dasht-e-tanhai mein ai jaan-e-jahaan larzaan hain
Teri aavaaz kay saaey, teray honton kay saraab
Dasht-e-tanhai main dooree kay khas-o-khaak taley
Khil rahay hain teray pehloo kay saman aur gulaab
Uth rahee hai kaheen qurbat teri saans kee aanch
Apnee khushboo main sulagti hui madham madham
Door ufaq paar chamaktee hui qatra qatra
Gir rahi hai teri dildaar nazar ki shabnam
Is qadar pyaar say ai jaan-e-jahaan rakha hai
Dil kay rukhsaar pay is waqt teri yaad ne haath
Yun gumaan hota hai gerchey hai abhi subh-e-firaq
Dhal gaya hijr ka aa bhi gaee wasl ki raat.
Also check out this mesmerizing rendition of the same by Ghazal singer Tina Sani. Simply outworldly.
No comments:
Post a Comment